Rozay ke Roohani Faide – Dunya aur Aakhirat

Rozay sirf bhook aur pyaas ka naam nahi, balkeh yeh ek azeem ibadat hai jo insaan ki rooh ko paak karti aur uske imaan ko taqat deti hai. Rozay ka asal maqsad taqwa paida karna hai, jaisa ke Qur’an mein farmaya gaya ke rozay tum par is liye farz kiye gaye taake tum parhezgaar ban jao. Jab banda apni halal khwahishaat ko bhi Allah ke hukm par chhor deta hai, to uska dil gunahon se bachne ki aadat ikhtiyar kar leta hai.
Dunya ke hawalay se rozay insaan ko sabr, bardasht aur khud par qaboo sikhata hai. Bhook aur pyaas ka ehsaas ghareebon aur mohtaajon ki takleef ka andaza karwata hai, jis se dil mein rehmat aur humdardi paida hoti hai. Rozay ki barkat se gussa kam hota hai, nafs ki zid toot ti hai aur akhlaaq mein narmi aati hai. Is tarah rozay se sirf ibadat hi nahi balkay muashray mein bhi behtari paida hoti hai.
Aakhirat ke liye rozay ki fazilat aur bhi azeem hai. Ahadees ke mutabiq rozay daar ke liye Jannat ka khaas darwaza “Rayyan” hai, jahan se sirf rozay rakhne walay hi dakhil honge. Rozay qayamat ke din banday ke liye sifarish karenge aur Allah Ta’ala rozay ka ajr be-hisaab ata farmayega. Yoon rozay insaan ke liye dunya mein roohani taraqqi aur aakhirat mein nijaat ka zariya bante hain.